Hum Kaise Pagal Hote The
ek Phool Ko Chunane Ke Khaatir,
Kaanton Se Zakhmee Hote The
Jo Phool Jholi Main Aa Girtaa,
Usse Chhune Se Dar Jaate The
Hum Kaise Pagal Hote The,
Kai Dhundale Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhoonda Karte The,
Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhte The,
Hum Kaise Pagal Hote the
Jab Sarak Par Chalna Hota Tha,
Hum Kashti Le Kar Chalte The
Aur Beech Bawar Jane Ke Liye,
Hum Paidal Nikla Karte The
Hum Kaise Pagal Hote The,
Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chhatri Main Chhup Jaate The,
Aur Jalti Dhoop Main Nange Sir
Hum Chhat Par Uchhla Karte The,
Hum Kaise Pagal Hote The
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha,
Hum Us Ko Dekh Na Sakte The
Jab Dur Chala Jata Tha Wo,
Hum Ahhat Us Ki Sunte The
Hum Kaise Pagal Hote The,
Jab Saari Duniya Soti Thi
Hum Chand Se Khaila Karte The,
Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jate The,
Hum Kitne Pagal Hote The
Hum Kaise Pagal Hote The,
Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
Hum Aaj Bhi Waise Bhole Hain... ..